Barish Shayari

woh muj se mere khamoshi ke wajah poochta hai
kitna pagal hai rat ke sanate ke wajah poochta hai
woh muj se mere ansoo ke wajah poochta hai
kitna pagal hai barish ke barasne ke wajah poochta hai
woh muj se mere mohabbat ke bari me poochta hai
kitna pagal hai khod apne bari me poochta hai
woh muj se mere wafa ke inteha poochta hai
kitna pagal hai sahil pe khada hai samunder ke gehrai poochta hai

Comments are closed, but trackbacks and pingbacks are open.