Aansoo Shayari

Ajab kal sham ka manzar raha hai,
Falak mere laho se tar raha hai.

Zaraf zameen ka kam parne lagta hai jab,
Tab pathar se chashma phoot nikalta hai.

Tilasam khana umeed se rihai par,
Main roo para tha magar log muskarate the

Taaq e masargan pe lazarte rahe ashkon k charagh,
Kis taqalaf se hanse ajj ye hansane wale.

Zarorat hai hamen ae dil laho k chand qatron ki,
Kisi k naam maqtoob e wafa tehreer karna hai.

Kehkashan, chand, sitara na dia rakha hai,
Ek anso hai jo palkon pey saja rakha hai..

Khabar kya thi kay wo ik roz mujhko bhool jaye gi,
Or us ki yad mujh ko khoon kay anso rulaye gi.

Ankhien to surkh hain ashk e rawan kahan,
Unwan e dastan hai magar dastan kahan..

Anchal phir ashkon sey bhigoney wali hun,
Ji bhar kay teri yad me roney wali hun..

Mujhe rishtey ki ddori se na jorro,
Mujhe tootay huye arsaa hua hai..

Meri ankhon se kabhi ik ashk tak na tapka tha,
Tum bhi de jao ge dhoka yeh bhi na socha tha..

Na aankh hai nam na chehre pay kurb ke aasaar,
Main is saleeqey se roya hoon aaj pehli baar..

Bethe bethe hi ageya na janey kya kheyaal,
Pehron lipat kar roye dil-e-nadaan se hum..

Tumhari aankh se behtey yeh ansoo,
Mujhe andar se sehraa kar rahe hain..

Gham main aansu na behna barri baat hai,
Dil ka kaabu main rehna barri baat hai..