Bollywood Shayari

Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.

Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanson Ko Rok Paoge Kaise

Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, to dard nahi hota
Takleef to tab hoti hai, Jab log wah-wah karte hain

Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekhta Hoon
Din Mahine Saalon Ko , Yug Mein Badalte Dekhta Hoon
Is Mitti Se Mere Bauji Kii , Kheton Ki Khusbuu Aati Hain
Yeh Dhoop Mere Maajii Kii , Thandi Chaaz Yaad Dilaati Hain
Yeh Baarish Mere Saawan ke Zhoolon Ko Sang Sang Laati Hain
Yeh Sardi Meri Lodi Kii , Aaag Seinkh Ke Jaati Hain
Woh Kehte Hain Yeh Tera Desh Nahin ,
Phir Kyun Mere Desh Jaisa Lagta hain
Woh Kehta Hain Main Us Jaisa Nahin
Phir Kyun Mujh Jaisa Woh Lagta Hain

Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekhta Hoon
Sapnon Kii Gaon Se Utri ,
Ek Nanhi Pari Ko Dekhta Hoon
Kehti Hain Khud Ko Samiyaa
Aur Mujhko Veer Bulati Hain
Hain Bilkul Begaani Par
Apno Sii Zid Woh Karti Hain
Uski Sacchi Baaton Se
Phir Jeene Ko Man Karta Hain
Uski Kasmon Vaadon Se
Kuch Karne Ko Man Karta Hain
Woh Kehte Hain Kii Woh Koi Nahin Thi
Phir Kyun Mere Liye Duniyaa Se Woh Ladthi Hain
Woh Kehta Hain Main Us Jaisa Nahin
Phir Kyun Mujh Jaisa Woh Lagta Hain

Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekhta Hoon
Mere Gaon Kii Rango Mein Lipti
Ek Nayi Zaara Ko Dekhta Hoon
Mere Khwabo Ko Pura Karte
Khud Ke Khwab Bhool Chuki Hain Woh
Mere Logon Kii Sewa Karte
Apne Logon Ko Chodh Chuki Hain Woh
Uska Daaman Ab Khushiyon Se Bharne Ko Man Karta Hain
Uske Liya Ek Aur Zindagi Jeene Koh Ji Karta Hain
Woh Kehta Hain Main Mera Desh Uska Nahin
Phir Kyun Mere Ghar Woh Rehti
Woh Kehta Hain Main Us Jaisa Nahin
Phir Kyun Mujh Jaisa Woh Lagta Hain

Bas ab ek haan ke intezaar me raat yunhi guzar jaayegi,
ab toh bas uljhan hai saath mere neend kahan aayegi,
Subah ki kiran na jaane konsa sandesh laayegi,
rimjhim is gungunayegi ya pyaas adhuri reh jaayegi

Pyar ne ye kaisa tohfa de diya,
Mujhko gumo ne pathar bana diya.
Teri yaadon main hi kat gayi ye umar,
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya

Khuda Ne Jabb tujhe Banaya Hoga
Ik Saroor Uske Dil Mein Ayea Hoga
Socha Hoga Keya Doonga Tohfe Mein Tujhe
Tabb Jaake? Usne Mujhe Banaya Hoga

Aap hamein bhool jayo humein koi gam nahin
Jis din humne aapko bhula diya
Samjh lijiye ga is duniya mein hum nahin

Na jjagte hue khaab dekha karte hain
Na chaaho usse jise paa na sako
Pyaar kahan kisi ka poora hota hai
Pyar ka pehla akshar adhoora hota hai

Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, to parwah nahi
Takleef to tab hoti hai, Jab koi wah-wah karta hai

Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke chunni babu,
Ab to bas dhadkanon ka lihaj karte hain,
Magar kya karen duniya walon ka,
Jo aakhari saans par bhi aitaraz karte hain.

babuji ne kahaa gaon chhod do,
sabne kahaa paro ko chhod do,
paro ne kahaa sharaab chhod do,
aaj tumne kah dia, haweli chhod do,
ek din aayega jab wo kahenge, duniya hi chhod do