Bollywood Shayari

Yu nazar se nazar ki baat ki, ki dil chura le gaye
hum to samjhe the but, aap to dhadhkan suna gaye

Aey Jawanon!
Gareebi tod deti hai jo riste khaas hote hain,
Aur paraaye apne hote hai jab paise paas hote hain

Har yaar wafadar nahi hota,
har patthar chamakdar nahi hota,
na jaane ban me kitne phool khile hain,
har phool khushbudaar nahin hota..

Aatishe-bark-ao-sahaab paida kar
Azal bhi kaamp the, wo shabaab paida kar
Tu inklaab ki aamad ka intzaar na kar
Jo ho sake, to abhi inklaab Paida kar

Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai
mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai

Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi
yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai

samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta

Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka
mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa,
Zazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa,
Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.

Koi tumse pooche kaun hoon main.,
Tum keh dena koi khaas nahi

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
Kabhi najuk toh kabhi tufaano sa,
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai,
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahin,
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai,
Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
Par in aankho ko uski talaash nahi

Unki khairo-khabar nahin milti
Humko hi khaaskar nahin milti
Shayari ko nazar nahin milti
Mujhko tu hi agar nahin milti
Rooh mein , Dil mein, Jism mein duniya,
Dhoondta hoon magar nahin milti
Log kehte hai rooh bikti hai,
Main jidhar hoon udhar nahin milti

Raazdaro se bachkar chalta hoon
Ghamghusaaron se bachkar chalta hoon
Mujhko dhoka diya sahaaron ne
Ab sahaaron se bachkar chalta hoon

Shab-e-gham ki seher nahih hoti
Ho bhi to mere ghar nahin hoti
Zindagi tu hi mukhtasar ho ja
Shab-e-gham mukhtasar nahin hoti