Dosti Shayari

Haatho me hoti hai Lakire Hazar,
Kisi me Gum to Kisi me Khushiya Ki Bahar,
Na jaane Wo Kaunsi lakir hai
Jisme Khuda Ne Likh Diya Aap Jaise Dost ka Pyar.

Hasi Ne Labo Par Thirakna Chhod Diya
Khwaabo Ne Palko Pe Aana Chhod Diya
Nahi Aati Ab To Yeh Hichkiya Bhi
Shaayad Aapne Hume Yaad Karna Chhod Diya.

Tumse Dosti kuch is tarah Nibhayenge,
hazar baar rythoge to manayenge,
maan jana warna aisi dosti dikhayenge
ki log apse milne hospital me ayenge.

Dushmano me DOST mila karte hai,
Kaanto me phul khila karte hai,
Humko kaanta samajhkar chhod na dena,
DOST Kaante hi phulon ki hifazat kiya karte hai.

Dosti ki dor sajaye rakhana.
dil ko dil se milaye rakhnakya
lekar jana hai sath me
bas meethe lafzo se hamare is rishte ko banaye rakhana.

Geet ki jaroorat mahfil me hoti hai
pyar ki jaroorat dil me hoti hai
bin dost ke adhoori hai
jindgi dost ki jaroorat pal-pal me hoti hai.