Friendship Shayari

Kahin ahdhere to kahin sham hogi
Hamare har khushi aap ke naam hogi
Kuch maang ke dekh lijiye humse ye dost
Hoton pe hansi aur hatheli pe jaan hogi

Dost se doti basaya jata hai,
Dosti se dost ko hasaya jata hai,
Dost to wo dawa hai mere dost,
Jisese kanch ko bhi kohinur banaya jata hai

DOSTI” karna accha hai
dosti nibhana “FARZ” hai
dosti todna “BEWAKUFI” hai
or dosto ko bewaqt “DISTURB” karna.
“HAQ BANTA HAI YAAR””

Kab maine kaha ki shona aur chandi chahiye
Bas aapki dil me chhota sa kona chahiye
Jise hum keh sake dilse apna
Aisa bhi to koi yaar hona chahiye

Taaron ko ginne wale hum na the
Akele gun gunane wale hum na the
Ye to aap ki dosti ne aadat laga di
Warna kisi ko itna yaad karne wale hum na the

Khamosh raat ke pahalu main sitare na hote
In rukhi Ankho me Rangin nazare na hote
Hum na karte Parwah aap ki
Gar aap jaise dost hume itne pyare na hote

Dillagi dosto ke nam hoti hai,
dildari dosto ki shan hoti hai,
kahin bhi raho par rahoge dil mein,
yahi sachi dosti ki pehchan hoti hai…

Jab koi zamane mein sahara nazar aaya
Bas tu hi mujhe hamara nazar aaya
Main teri dosti mein baitha raha aise
Na toofan nazar aaya na kinara nazar aaya

Khushboo ki tarah meri sanson me Rehena
Laho banke meri Anshuon me Rehena
Dosti hoti hai Ristoon ki Anmol Gehena
Isiliye dosti ko kabhi alvida na kehena

Taqdeer ne chaha Taqdeeer ne bataya
Muqadar ne tumhe aur hame milaya
Khus naseeb the hum ya wo pal
Jaab aap jaisa Anmol sa dost Zindegi me Aaya

Phulo Ne Mousam ko Suhana Banaya H

Pedo Ne Dhrti ko Dulhan ki Tarha Sajaya H,

Khuda Meri Sari khusiya usko Dena

Jisne Mujhe Apna DOST Bnaya H…

jannat ka raasta kyun dekhu,
jaha dost rahain vahin jannat hai,
tere dosti mere dil me hamesa bani rahe bhagwan se
ab yehi mannat hai…

Sanso Me Reh kar Mehman
Ban Gaye

Tum Mere_Labo Ki Muskan Ban Gaye

Paas Rehkar b
Log
Hamare Na Hue

Aur
Aap Dur Hokar b Humari
Jan Ban Gaye

Khuda ki rehmat sare sansar par barse,
mere hise ki rahmt mere yaar par barse,
ae khuda muje kar dena pani
agar mera yaar kabhi pyaas ko tarse.

Har Aahat Ehsas Humara Dilayegi.
.
Har Hawa Kissa Humara Dohrayegi.
.
Hum Itna Pyar Bhar Denge Is Dosti Mein Ki Na Chahte Huye Bhi Yaad Humari Aayegi..