Ghazal Shayari

Mein rah guzar mein khari hui hon
Tumhari khatir ari hui hon
Dukh’on sey daman wasi hai mera
Inhi mein pal key bari hui hon
Kisi ki mujh ko nahi hai parwah
Mein teray dil mein jari hui hon

Hamara dosh hai mana
Tum’hein apna jo hai jana
Tumharey bin ye jewan marg jesa hai
Hum’ein janat ka har gosha bhi goya narm jesa hai
Haqeqat mein agar socho
Muhabbat mein ana ka kam hi kia hai
Chalo ab man bhi jao
Key tum ko hum manatey hein
Hum’ein tum sey muhabbat hai

Pehlay aap btai’n mujh ko
Aap ka chehra peela kiun hai?
Aap key kaprey melay kiun hein?
Wo neli si shirt kaha’n hai?
Aap ka lethar belt kaha’n hai?
Ainak key number kiun badley hein?
Kiun dhondali dhondali hain ankh’ein?
Kiun itna likhtey parhtey hein?
Aap key in uljhey bal’on
Kon waha’n suljhata ho ga?
Is wehshi is muztarib dil ko
Kon waha’n behlata ho ga?
Wo to dasht hai tanhai ka
Chain waha’n kaha’n ata ho ga?

Suno..
Mujhey roney sey na roka karo
Key mera har ashk teri tasweer banta hai
Aur jab palk’ein num hoti hein
To meri bhegi ankh’on, tar chehray
Aur kanptey hath’on sey
Teri khushbo ati hai

Resham jesay kitney sawal’on key guchay hein..
Jo pardes sey ghar atey hi khul jatey hein
Sochta hon mein
Maa’n, mehboba aur bivi
Ye teeno rishtey
Apas mein jab mil jatey hein
Jesay door kahi’n sehra mein
Taza phool sey khil jatey hein

Us ney kaha key maat bohat gehri hoti hai
Sagar jesi is mein jo bhi doob gaya wo
Phir kab ubhara!
Jeet ko preet ki reet banao
Mein ney kaha ye baat bohat gehri hai lekin
Ye bhi to socho
Dil na hota senay mein to preet kaha’n thi?
Maat na hoti jewan mein to jeet kaha’n thi ?

Mein ney nazar’on sey is ko chum lia
Jo tum ney mujhey dia tha kabhi
Ik mehakta hua sa surkh gulab
Zindagi ki haseen raah’on mein
In mehakti hui fiza’on mein
Is ki khushbo mein din guzar’on gi
Mujh ko jenay ka hosla dey ga
Ik mehakta hua surkh gulab
Mein isi soch key samandar mein
Ghota zan thi key yak-ba-yak mujh ko
Dour rastey mein tum nazar aye
Tum kisi ajnabi si larki ko
Dey rahey thay khod apney hath’on sey
Ik mehakta hua surkh gulab!

Muhabbat khas log’on key liye
Khas tohfa hai gulab’on ki hai mehka’hat to muskurahat kali ki hai
Agar ye gul ki sorat hai to narmahat kali ki hai
Ye bhanwrey ki hai bebaki to gabrahat kali ki hai
Hawa’on ki hai khamoshi to ye ah’hat kali ki hai
Hai chanda ki jhalak is mein
Sitar’on ki chamak bhi hai
Kabhi soraj ki garmi si
Saba ki si dhanak bhi hai
Muhabbat khas log’on key liye
Khas tohfa hai

Dharkan dil ki teez hoti hai
Palk’ein dekho,jhok si gai hein
Hont gulabi laraz rahey hein
Rangat tap ker surkh hoi hai
Ye kia tum ney mujh sey kaha hai?
Tum meri ho…sirf meri ho
Dil kehta hai tum sey kah’on mein
Meri sama’at mein ras gholo
Phir sey tum izhar karo na
Tum ho meri…sirf meri ho
Phir sey kaho na

Is ney pocha
Kin shart’on pey piyar karo gey?
Sath raho gey
Mein ney kaha
Piyar mein shart’ein kab hoti hein
Han ik choti si khawahish hai
Mujh sey ho sanjog tumhara kuch aisa
Jesay beej, gulab aur khushbo ka
Jesay ankh ki putli sey hai benai ka
Jesay dil ki dharkan sey hai judai ka

Adhorey khawab key andar
Kabhi palk’ein bichana mat
Adhorey khawab ankh’on ko bohat takleef detay hein
Adhori yaad ko dil ki zameen mein tum nahi bona
Adhori yaad dharkan mein bohat chubti, sisakti hai
Khalish ban ker khatakti hai
Laho mein bijli’yan ban ker bhatakti hai
Adhorey piyar ko…lekin chalo janey do is ko tum
Muhabbat, piyar, chahat, ishq hotey hi adhorey hein

Chalo is shart per piyar ka aghaz keraty hein
Agar tum munharif ho jao chahat sey, jaza pao
Magar ye jurm sarzad ho kabhi mujh sey
To meray hath sey jewan ki rekha youn metay
Is ka neshan tak be-nishan thehary
Dil-o-jan khak ho jain
Ye ankh’ein rakh ho jain

Muhabbat char lafz’on ka sahefa hai
Muhabbat ‘meem’ sey hai marg
‘Hey’ sey hadsa hai
Ye ‘bey’ sey be-kali hai aur ‘tey’ sey taj kant’on ka
Agar ye marg hai to marg sey kis ko mafar socho
Jo is ka hadsa jano to is sey kon bach paya??
Hai ‘bey’ sey be-kali to be-kali saan’on pey hawi hai
Agar ye taj kant’on ka to sar per bhi sajta hai
Wo sar tan per nahi rehta
Muhabbat khoon mein doba hu aik dasht hai, gehri udasi hai
Muhabbat hai dua jesi , muhabbat karbala si hai

Muhabbat karney wal’on ko kabhi tum aam mat samjho
Kabhi bhi aam mat jano
Bhaley sey hon magar in ko kabhi badnam mat jano
Muhabbat karney waley zeest ka ehsas hotey hein
Bohat hi khas hotey hein

Muhabbat hai kisi nadeeda si zanjeer ki sorat
Badan sey jo lipat ker
Is ki azadi ko demak ki tarha sey chat leti hai
Muhabbat hai saza jesi
Saza bhi wo jo matti ki lehat tak sath deti hai
Muhabbat wasal sey mashrut mat jano
Azal sey furqat’on key bab jesi hai
Muhabbat khawab jesi hai