Ghazal Shayari

Jo mananay k fun se waqif hon
Wohi aksar khafa bhi hotay hain. . !
Jo baray ba-wafa se dikhty hain
Wo baray be-wafa bhi hoty hain
Jo theherty hain zeest ka haasil
Wohi lamhay saza bhi hoty hain
Hum ko itni khabar nahi hoti
Hum kisi ki dua bhi hoty hain
Jo bicherny ka wehem rakhtay hain
Wohi aksar juda bhi hoty hain. . !

Mein rah’guzar mein khari hui hoon. . !
Tumhari khatir arri hui hoon
Dukho’n se daaman wasee hai mera
Inhi mein pal k barri hui hoon
Kisi ki mujh ko nahi hai parwah
Mein tery dil mein jurri hui hoon

Chandni raat ki pheli hui tanhai mein. . !
Dil mein yaado’n ka dhuan ho to ghazal hoti hai. . !

Muhabbat mangny ki shae nahi jo maang li jaye
Kisi ko kab kahan ye raas aai hai
Ye hum se aaj kehty ho?
Suno Janaa’n! Tumhain bhi yaad to ho ga?
Yehi to ibtada mein hum bhi kehty thy
Magar tum ne tou is ki khud nafi kar di thi pal bhar mein
Kaha tha us gharri tum ne
Muhabbat mangny se mil bhi jati hai
Magar ye shart hai jo mangta ho dil se wo mangy
Aur hum ne akhir tum ko ye daulat sonp di lekin
Wafa tum kar nahi paaye
Tum ab aaye ho barso’n baad
Aur ye hum se kehty ho
K hum tum ko bhula baithy
Tumhary khat jala baithy
Humain laazim tha ye, Ta umer baithy rasta taktay
Gharri bhar ko nahi thaktay
Baja kehty ho, such kehty ho, kab inkaar hai hum ko
Suno hum thak gaye hongy. . !

Muhabbat neend sey jagey huay toofan jesi hai
Kisi simtey hoay heyjan jesi hai
Muhabbat ko kabhi kamzor mat samjho

Muhabbat ko miley manzil bhala kesay
Haqeqat sirf itni hai
Azal sey hi
Muhabbat rast’on ki qaid mein gum hai

Kaha mein ney
Mujhey tum sey muhabbat hai
Magar tum ney saholat sey kaha hans ker
Zara tum ‘hai’ badal dalo
Likho key ‘thi’
Sahi misrah liko jana’n
Tumh’ein mujh sey muhabbat thi
Suno, jazbey kabhi is qadar mehmal nahi hotey
Ye jazbey jo kabhi nadi ki sorat mein
Kabhi dariya ki tughyani sey hotey hein
Magar ye is qadar asa’n nahi hotey hein
Ye ‘hai’ hotey hein jis lamhey faqat asbat hotey hein
Ager ye ‘tha’ ka mani ban gaye to phir kabhi ye hal ka segha nahi bantey
Magar tum kesay samjho gey magar tum kesay jano gey?
Ye jaz’on ki baat’ein hein
Ajab jazb’on ki baat’ein hein

Khawahish hi rahi apni
Ik bar kabhi pocho
Kia mujh sey muhabbat hai?
Kiya mujh sey muhabbat hai?
Tab dheray sey mein bol’on
Lahasil baat’ein hein
Haan’ keh key mein kiun jana’n!
Dhundla doun nigah’on ko
Dobhar ho sambhalna phir
Kabo mein phir dil na aye aur dharkan tham jaye
Inkar ki sorat mein
Imkan hai jee pa’on
Thori si tasali ho
Pehlay ki tarha ab bhi
Khawahish hi rahi apni
Ik bar kabhi pocho…khawahish hi rahi apni!!

Mein kiun kabhi dil ki kahani aam karney ka soch’on
Ana nelam karney ka soch’on
Mujhey tum sey muhabbat hai, magar mein kiun kaho’n tum sey?
Mein tum sey kiun kaho’n jana’n!
Meri tum dharkan’on ki ley mein shamil ho
Meray jeewan ka hasil ho
Agar palk’on key jhalar ko utha’on to tumhi ho
Utha’on to tumhi ho
Mein jag’on to mujhey tum piyar sey aa ker sulatey ho
Mein so jaon to tum sargoshi’yan ker key tum jagatey ho
Muhabbat ka kanwal jis mein khila wo jheel ho jana’n!
Amaos ki tarha hun mein, to tum qadeel ho jana’n!
Tumh’ein mein ney khuda mana,tumhi ko na khuda mana
Magar mein kiun kah’on tum sey
Magar mein kiun kah’on tum sey??

Suno jana’n!
Muhabbat key safar mein aisa bhi mor aye ga
Judai ghat mein ho gi
To agey barh key is key hath apna hath dey dena
Tum us ko maat dey dena

Gulab’on ko kabhi chuna kabhi khushbo ban jana
Aur ankh’on key mundair’on per
Chamaktey jugno’on ko wasal ki tasweer dikhlana
Aur is mein gum sa ho jana
Agarchey khawab tha lekin hum’ein tabeer lagta tha

Aik sapna hasee’n tar dekha
Ye jaha’n dil nashee’n tar dekha
Chand hum ney zameen per paya tha
Khod ko arsh-e-bare’n pey paya tha
Wo haqeqat tha aik sapna sa
Ghair ho key bhi apna apna sa
Is ka lehja tha dhema dhema sa
Ankh’on ankh’on mein baat kehta tha
Is ki ankh’ein bhi khawab jesi thi’ein
Khob sorat sarab jesi thi’ein
Wo wafa ka yakee’n delata raha
Wadey karta raha, bhulata raha
Phir achanak pata chala hum ko
Hum sey kuch wasta nahi us ko
Hum ney bhanwrey ko jana perwana
Ye to tha us ka mashgala, jana
You’n wo ankh’on mein bo gaya gham ko
Aik pachtawa dey gaya hum ko

Kisi key sath chalney aur dukh sukh ki sharakat ko
Muhabbat mat samjh lena
Muhabbat ka libada pani’yon key rang jesa hai
Muhabbat saat pardo’n mein niha’n ho ker ayaa;n hai
Ye haqeqat hai
Aur is ki khushbo’n ko hum dhanak mein dhond saktey hein
Magar ye bhi haqeqat hai
Key is ko jis ney paya hai
Wo apna aap kho betha
Ye mil ker bhi nahi milti
Kisi key sath chalney aur dukh sukh ki sharakat ko
Muhabbat mat samjh lena
Key jis ko cho liya jaye
Khuda wo ho nahi sakta
Muhabbat aisa mantar hai
Fana jo ho nahi sakta

Aaj mein ney bhi kahrida hai barey chao sey
Saal-e-nuo ka ye bohat sada sa card
Teri janib sey phir is ko mein ney
Apney address pey hai arsal kiya
Ta key college ki mein sab sakhi’yon ko
Ja key dikha sak’on ye tohfa
Jis mein tehreer badal ker mein ney
Apney hath’on sey ye likha khod ko
Saal-e-nuo tum ko Mubarak jana’n

Udas lamho!kabhi batao
Key meray hath’on ki gham mein dobi hui lakeer’on mein
Kiya khushi ki koi ghari hai?
Kiya reyet ankh’on mein’ khar dil mein
Thakan ka lejay sey aa lagi hai
Udaas lamho! Mein thak gae hun
Khushi ka thora sa dan dey do
Mujhey muhabbat ka man dey do