Kaha mein ney
Mujhey tum sey muhabbat hai
Magar tum ney saholat sey kaha hans ker
Zara tum ‘hai’ badal dalo
Likho key ‘thi’
Sahi misrah liko jana’n
Tumh’ein mujh sey muhabbat thi
Suno, jazbey kabhi is qadar mehmal nahi hotey
Ye jazbey jo kabhi nadi ki sorat mein
Kabhi dariya ki tughyani sey hotey hein
Magar ye is qadar asa’n nahi hotey hein
Ye ‘hai’ hotey hein jis lamhey faqat asbat hotey hein
Ager ye ‘tha’ ka mani ban gaye to phir kabhi ye hal ka segha nahi bantey
Magar tum kesay samjho gey magar tum kesay jano gey?
Ye jaz’on ki baat’ein hein
Ajab jazb’on ki baat’ein hein
Comments are closed, but trackbacks and pingbacks are open.