Ye kis mukam pe le ae hain tujhe halat,
K teri ankh bhi purnam dikhai daiti hai. ∞
Hawa se lapati hoi siskion se lagta hai,
Meri kahani kisi aur ne bhi dhohrai. ∞
Waqt khosh khosh katane ka mashwara daite hoe,
Ro para wo app muj ko hosala daite hoe. ∞
Wo bhi me daikh choka jo nahin hone wala,
So kisi baat pe hairat nahin kar sakta me. ∞
Na poch kion meri ankhon me aa gae ansu,
Jo tere dil me hai us baat par nahin ae. ∞
Mudad k bad azan e tabam mila humen,
Wo bhi kuch aisa talakh k ansu nikal pare, ∞
Lafzon me chopae hoe be rabt dala se,
Chanti rahi shab bhar mere ansu teri awaz. ∞
Guzra hai muhabbat me kuch aisa bhi zamana,
Rotha hon agar me to manaea hai kisi ne. ∞
Ghar ki tameer chahe jaisi ho,
Us me rone ki kuch jaga rakhana. ∞
Qurbaton me bhi judai k zamane mange,
Dil wo be mohar k rone k bahane mange. ∞
Falak tha jin ki nigahon me manzl e yakgam,
Chaman me aaj wo rote hain baal o par k lie. ∞
Fasale aise bhi hon ge ye kabhi socha na tha,
Samane betha tha mere aur wo mera na tha. ∞
Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne,
Kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota. ∞
Ashk ko juram samjate hain zamane wale,
Jo yahan piar kare ga wo saza pae ga. ∞