Aansoo Shayari

Talkh itni thi ke peenay se zubaan jalti thi,
Zindagi aankh ke paani mein mila li mene..

Mere haal pe yeh hairat kesi, dard ka tanha mausam main,
Pathar bhi ro parttey hain, insaan to phir insaan huaa..

Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley,
Yeh agar zabt ka aansuu hai to tapkaa kaisey ??

Paaney se khoney ka mazaa aur hai,
Band aankhon se roney ka mazaa aur hai..

Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko,
Chaand ko dekhne wo shakhs jo chhat par nikla..

Kaha tha na usey mat zabt karna,
Woh aansuu ab samandar ho geya naa..

Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe,
Geeli aankhon, ukhrrey lafzon se duaa dete huye..

Awaaz main thehraao tha aankhon main nami thi,
Aur keh rahe they maine sab kuch bhulaa diya..

Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid,
Mujhe hansna nahin ata jahan par tum nahin hote..

Ghar ki taameer chahey jesi ho,
Uss main roney ki kuch jaghaa rakhna..

Kitni be’sabar zaroorat thi ke us ke ghar ke log,
Bech aye hain shajjar kaat ke phall se pehle..

Sach kahoon apni mohabbat pe nidaamat si hui,
Jab bhi dekhi teri utri hui surat meine..

Saif yeh din to qayamat ki tarah guzra hai,
Jane kya baat thi, har baat pe rona aaya..

Kam Khatey Hain, Kam Sotey Hain,
Bohat Zeyada Hum Rotey Hain

Zikr chairr dete hain jab gaye zamanon ka,
Woh bhi roney lagte hain, hum bhi roney lagte hain..