Jaan kar bhi wo mujhe jaan na paye,
aaj tak wo mujhe pehchaan na paye,
khud he kr li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye ∞
Baheti hui naadi mein unka peaas hain
jalti hui shama mein unki gharmi ka ehesaas hain
kisi aur ke saath ghar basa liya humne
seene mein basi wahi bewafa pyar ka zeher ki raas hain ∞
Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake,
Ek aur sher sunata hoon…
Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;
saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;
aaj akele hain dil sawaal karta hai…
Log to uske the, kya khuda bhi uska tha????
This is Jeet, may be your new friend. ∞
Bewafai ki kya dava hai yaroo!
Kush kismati uski jiski
Mayyath nikli mehboob ki gali se…
Bathkismathi uski jiski
Mehboob ki baraath nikli uski gali se… ∞
duniya ko is ka chehrah dhikhana padha mujhe,
pardah jo darmiyaan tha haathana padha mujhe,
ruswaiyon ka khauf se mehfil mein aaj,
phir is bewafa se haath milana padha mujhe ∞
Har kisi sey jo hum ney wafa ki
Bus yehi zindagi mein khata ki
Chahaton key hajom main tanhai
Mujh ko doston ney hi ata ki
Soz-e-dil yunhi nahin mila humko
Bari kemat thi is ki jo ada ki
Jo hamara na hosaka aksar
Unky wastey bhi humny dua ki ∞
Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain
Aur phir se laut jati hain..
Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain
Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain… ∞
Agar Bhigne ka itna hi shoq hai baarish me
To Dekho na meri aankhon me
Baarish to har ek ke liye hoti hai
Lekin ye aankhein sirf tumhare liye barasti hain… ∞
Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi,
woh sochte hai hum roye hi nahi,
woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho,
hum hai ki ek umr se soye hi nahi… ∞
Pathar ki hai duniya Jajbaat nahi samajti,
Dikl me kya hai vo baat nahi samajti
Tanha to Chand bhi hai sitaron ke beech,
par chand ka dard vo raat nahi samajti… ∞
Aansuon ko palkon pe laaya na kijiye.
Dil ki baatein har kisi ko bataya na kijiye…
Log mutthi mein namak liye firte hain…
Apne har jakhm dikhaya na kijiye… ∞
Jaane kyu log hame aajmate hai
Kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai
Sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad
Log barish ko bhul jate hai… ∞
Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe
Humari Tanhayion Se Ankh Churate Rahe
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki
Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe… ∞
Mahfilein Sajti Hai Roz, Sajti Rahengi
Jaam Hote Nahi Sab Peene Pilaane Waale
Aasteen Mein Chhuriya Leke Ghoomte Hai Sab
Dost Hotey Nahi Sab Hath Milane Waale… ∞
Dil Ke Khareed Daar Toh Hazaar Mil Jayenge
Dhokha Dene Wale Aapko Hazaar Mil Jayenge
Hum Jaisa Dost Na Mil Payega Aapko
Bewafa Yaar Toh Beshumaar Mil Jayenge… ∞