Pal pal uska saath nibhate hum,
Ek ishare par duniya chor jaate hum,
Samnder ke beech mein pahunch kar fareb kiya usne,
Wo kehta to kinare par hi doob jaate hum ∞
Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi,
Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi,
Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo’atabar,
Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi,
Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir,
Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi,
Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya,
Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi,
Mere Baad Kitnay He Roop Tu Ne Badal Liye,
Main Wohin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi ∞
Mere hamsafar, mere saayeba’n,
Meri zindagi, mera kul jahan,
Hain raah hayaat ke silsley,
Kabhi furqtain, kabhi faasley,
Rahen tere sath rawaa’n dawaa’n,
Mere karwaan, mere kaafley,
Tu hi ru’bru, tu hi hai nihaa’n,
Mere hamsafar, mere saayeba’n,
Teri mulaqaat ki khawhishen,
Teri aarzuu, teri chahtein,
Shab-o-roz teri justujuu,
Tujhe dhoondti phiroon ku’bkuu,
Tu mera yakeen, to kaheen gumaa’n,
Mere hamsafar, mere saayeba’n ∞
Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain
Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye
Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain
Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain ∞
Yahan khuloos bikta hai yahan pyar bikta hai
Yahan dushman ke hathon yaar bikta hai
Yahan insaan ka kaatil insaan milta hai
Yahan oonchey logon ka mizaar bikta hai
Yahan lagte hai bazaron mein sharab ke theiley
Yahan khuda ki khudai ka ikhtiyaar bikta hai
Yahan kha ke bhi sab kisi ke pait nahin bhartey
Yahan insaniyat bikti hai yahan meyaar bikta hai ∞
Kaho agar to bhula doon tum ko,
Sab kuch bataa kar rulaa doon tum ko,
Bohat dushwaar guzrey ga mujh per,
Kaho agar to sazaa doon khud ko,
Kyun ab roz roz ka rona rahe aakhir,
Aj hi kyun na mitaa doon dukh ko,
Kaho agar to bhulaa doon tum ko ∞
Wafa isko nahi kehte
Wafa kuch or hoti hai,
Mohbbat karne walo ki
Adaa kuch or hoti hai,
Tumhe dekha tumhe chaha
Tumhi se pyar kar bethe,
Suno pathar ke dil walo
Mohbbat aisi bhi hoti hai,
Main chahe ghum ka mara hu
Magar tumko na bhulunga,
Ke deewano ke hotho pe
Dua kuch or hoti hai,
Tadap uthegi ye duniya
Ke royega jab dil mera,
Ke dil se fir jo nikalti hai,
Badua kuch or hoti hai ∞
Bahaar rut mein ujrrey raasty,
Takaa karo ge to ro paro ge,
Kisi se milney ko jab bhi sajan,
Saja karo gey tou ro paro ge,
Tumhary wadon ne yaar mujh ko,
Tabaah kiya hai kuch is tarah se,
Ke zindagi mein jo phir kisi se,
Dagha karo ge to ro paro ge,
Main janta hoon meri mohabbat,
Ujaarr de gi tumhein bhi aise,
Ke chand raton mein ab kisi se,
Mila karo gay to ro paro ge,
Barasti barish mein yaad rakhna,
Tumhein staayn gi meri ankhein,
Kisi walli ke mizaar par tum,
Dua karo ge tou ro paro ge ∞
Jaanum teray baghair kab zinda raha hoon main,
Her peher her gharri yahan merta raha hoon main,
Dukh zindagi ko ghayal kertay rehay meri,
Ik kerb-e-musalsal se guzerta raha hoon main,
Jo log apni jan se aziz thhay mujhay,
Un ke wafa ko akser tarasta raha hoon main,
Bikhray jalay muqaam milay safer-e-hayat main,
Daaman ko apnay raakh se bharta raha hoon main,
Teri yaad ne bhi likh dee muqader main baykali,
Qismat ke iss khail pe hunsta raha hoon main,
Hain aashnaa yahan meray dardon ke qaaflay,
Bus inn ke dermiyan he chalta raha hoon main,
Rakhta hon her qadam main ab phoonk phoonk ker,
Apnay he saaye se bhi darta raha hoon main,
Aaj hoon main us jagah jahan manzil nahi Shaukat,
Raston se bewaja he larrta raha hoon main ∞
Chamakte Chand Ko Toota Howa Tara Bana Dala,
Meri Aawargi Ne Mujh Ko Aawara Bana Dala,
Yahan Par Hain Hazaron Ghar Gharon Mein Log Rehte Hain,
Mujhe Is Shehar Ne Galiyon Ka Banjara Bana Dala,
Main Is Duniya Ko Aksar Dekh Kar Heraan Hota Hoon,
Na Mujh Se Ban Saka Chota Sa Ghar Din Raat Rota Hoon,
Khuda Tune Kaise Yeh Jahan Sara Bana Dala,
Mere Malik Mera Dil Kyoun Tarapta Hai, Sulagta hai,
Teri Marzi Teri Marzi Pe Kiska Zor Chalta Hai,
Kisi Ko Gul, Kisi Ko Tune Angara Bana Dala ∞
Kabhi sham dhal jaye
Koi rasta badal jaye
Kabhi ansoo nikal jaye
Koi deewar tham’on gi
Tum’hein phir sey bula’on gi
Khodi ko azma’on gi
Mein sach kehti hun meri jaa’n
Bohat ziada sata’on gi
Tum’hein mein yaad aon gi
Kabhi dil sey pukaro gey
Koi pal youn guzaro
Meri hi deed chaho gey
To meri yaad ka daman
Tumhara zabt torey ga
Tum’hein pal pal jalaye ga
Tum’hein itna sataye ga
Key sab sey dor ho key tum
Kabhi ansoo bahao gey
Bohat ziada satao gey
Bohat ziada rulao gey
Mujhey tum yaad aao gey ∞
Tere ikhlas se mohabbat ki hai,
Tere ehsas se mohabbat ki hai,
Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai,
Kabhi to tu ne bi mujhe yad kiya hoga,
Me ne un lamhaat se mohabbat ki hai,
Jin main hon teri meri batain,
Main ne un auqaat se mohabbat ki hai,
Aur mehky hon sirf teri mohabbat se,
Main ne un jazbaat se mohabbat ki hai,
Tujh se milna to ab khawab sa lagta hai,
Main ne tere intezar se mohabbat ki hai ∞
Muhabbat is qadar mushkil amal hai
Itni zalim, itni sangdil hai
Agar maloom ho jata
To dil key agey hath rakh deti
Sar ko jhuka leti
Dil sey zidi bachey ko mana leti
Chaht’on ki rah itni kathin hai
Key apney ghair ho jatey hein
Dil mein dard bo jatey hein
Agar maloom ho jata
Bohat safak ho jati
Magar tum sey na ye sunti
Tum’hein mujh sey muhabbat hai
Kabhi tum sey na ye kehti
Mujhey tum sey muhabbat hai ∞
Mein aaj bohat udas hon
Koi nahi
Jis sey dil ki werani bant sak’on
Koi nahi’en
Jo meray behtay ansoo’on ko rok sakey
Koi nai’en
Jo ik zara harf-e-tasali dey
Koi nahi’en
Jo muskura key kahey
Apni hasas ankh’on ko takleef dey
Ye moti meray dil pey girtey hein
Koi nahi’en
Agar hai to bolta kiun nahi’en hai ∞
Koi guzra hua lamha
Koi beti hui sa’at
Tumharey dil key band darechay mein chali aye
Tumh’ein aisa lagey
Key mudat baad
Tumh’ein dheemi si methi si
Kasak mehsos hoti hai
Tumh’ein kuch yaad ata hai
To meray bholay huay sathi
Meray na-meharba’n
Palat ana, palat ana
Key meri sama’at ab bhi
Tumhari ahat’on ki muntazir hein ∞