Is sey pehlay key ankh khul jaye
Aa key hont’on sey’ meri aankh’on per
Koi anmool khuwab likh jao
Mera chehra gulaab leikh jao
Bad mein aa key apney hath’on sey
Mera jeewan sarab likh jao ∞
Be-kinar jazb’on ko
Kab kinar milta hai?
Be-qarar soch’on ko ,kab qarar milta hai
Be-daiyar log’on ko, kab daiyar milta hai
Aaj kis key liye tum ney ye sawal pochey hein?
Aik pal ko socho to’
Be-khabar parind’on ko
Kab hawa’ein deti hein
Khushbo’on key sandesey
Ajnabi jazeer’on ka kab pata batati hein
In ko in key honey ka
Kab yakeen dilati hein
Tum ney jo bhi pocha hai
Hum jawab denay ka hosla agar rakhtey
Muztarib hi kiun hotey..?? ∞
Mumkin ho to…
Kali shab ki tasht ko dekho
Kitney sundar tarey hein
Lekin hein be-khawab azal sey
Shayad hijr key marey hein! ∞
Muhabbat’on ka khayal rakhna
Kahi’en na aisa ho be-dihani mein
tum hatheli ko khol dalo
hawa’ein sazish pey aan utre’in
to khushk pat’on sa hal ho ga
gulaab rut ka zawal ho ga
muhabbat’on ka khaya rakhna ∞
Abhi bhi waqt hai
khuwab’on ko tabeer ker dalo
wafa ko apney mathay per likho
taqdeer ker dalo
kisi key pyar ko per’on ki tum zanjer ker dalo ∞
Muhabbat hadisa hai
Hadsy sey bach nikalney ki
Koi tadbeer kar lo is sey pehlay khuwab ho jao
Jisey hum hadsa kehtay hein
Jewan ko ghari bhar mein
Mita ker khak kerta hai
Koi ilzam dharta hai
Kabhi maazori’on key jal mein qaidi
Bana ker chor deta hai
Muhabbat hadsa hai
Hadsy sey bach nikalney ki
Koi tadbeer kar lo is sey pehlay khuwab ho jao ∞
Bethay bethay likh raha hun ik kahani janey kiun
Meri ankh’on sey hai ashq’on ki rawani janey kiun
Phir sey doba jar aha hai aj mera gham sey dil
Baat taza ho rahi hai ik purani janey kiun
Khod-bakhod aaye hansi aur rona aye apney aap
Meray dil pey hai kisi ki hukmrani janey kiun
Mar key bhi is ko bhula sakta nahi
Na wafa, na baat, na morat suhani, na janey kiun ∞
Aaj tor diye hein tu ney meray sapney
Aaj tor diye hein wadey apney
Ab meray pas bhi kia reh gay hai
Laut jao gey ab tum bhi ghar apney
Mujh ko ata kia bhi to itna kam
Chand aanso aur chand dukh apney
Mein ji’eon bhi to kis key saharey ‘Gul’
Ab hein bhi yahan kon apney ∞
Kahan gaye sheher k zaalim log?
Kahan gaeen sheher ki zaalim batain?
Way na rahay tum sajan
Aur na rahi mulaqatain
Ik shakhs tum se kah raha hai ‘Gul’
Ataa karo mujhko wohi dukh ki saughaatain. . ! ∞
Khud ko rafta rafta faramosh ker sako’n
Per tujh ko bhulana meray ikhtiyar mein nahi
Tujhey jeetna to meray muqadar mein nahi
Aur tujhey harna meray ikhtiyar mein nahi ∞
Sadi’yon sey rothey ko ab aaye hein mananey
Wo kab ka ghar chor chukka, aye hein isey ghar laney
Jis key kisi patey mein bhi khusbo ka ik zara nahi raha
Lagey hein is guldan ko angan mein sajaney
Zaman kitna be-reham hai key jab mar chukey
To laga hai qabr’on ko ab milaney
Ye kia majra hua hai ‘Gul’ key
Lagey ho mazloom ki kahani zalim ko sunaney ∞
Aaj shab mein jag raha tha
Sehan mein betha soch raha tha
Itney mein chupkey sey
Chand meray pas aa betha
Aur kehnay laga
Ik bar chali jaye to
Ye zindagi laut key nahi aati
Ye keh ker wo
Kahin door badal’on ki oot mein
Chup gaya
Aur mein ney hawa’on key hath ye sandesa bheja
Mujhey ik bar aa key mil jao
Ye zindagi
Laut ker nahi ati
Usey kehna ∞
Youn to pas sey hazar bar guzra
Aaj is liye aya key bemar tha
Sarkash lehja aur mathey pey bal
Janey isey jis cheez ka khumar tha
Wo ghusey mein aur bhi nikharta jar aha tha
Ye us ka husn tha ya mera piyar tha ∞
Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to
Be-wafa’on ko aram kesay aye ga
Wo awara mizaj kahin door ja basa hai
Aab meri saada’on per kesay aaye ga
Saans’on mein basa hai yaad’on ki surat
Per is ko yakeen kesay aaye ga
Mein is ko kab ka bhol gaya hota ‘Gul’
Masla is dil ka hai is ko qarar kesay aaye ga ∞
admi bulbula hai pani ka
kia bharosa hai zindagani ka
agar ho sakey to aa ker milo
kia hai is saans ani jani ka
agar tum laut aao to ‘Gul’
anchal sambhal lena shani ka. ∞