Abhi aay ho abhi ja rahey ho
kuch dair aur ruko abhi raat baki h ai
is tarha barish mein
mat chor ker jao mujhey
in ankh’on mein an-dekhay sapney bohat baki hein
tum in rah’on mein abhi sey nidhal ho
abhi dukho’n ki kitab aur baki hai
tum kisi aur key ho jao ye ho nahi sakta
abhi to ‘Gul’ ki saans boht baki hai.. ∞
Muhabbat key safar mein
aaj phir souchta hun
kitney din huay hein
tum ko dekha nahi
goya
kitney din huay hain
khud ko mila nahi
janey kab milo gay
lekin Jab milo gay
mein khod ko ainey mein
dekhlun ga
muhabbat key safar mein
aaj phir sochta hun. . ! ∞
Mein ik pal bhi ghar sey nikl’on
To wo mujh sey pocha kerti thi
Tum kahan gaye thay
Kis sey milney gaye thay
Kia kam tha tujh o
Aisey be-wajha
Ghar sey na nikla karo
Zamana bohat kharab hai
Aaj teen shab bad
Jab mein ghar lauta to
Yaad aya
Wo pocha kerti thi ∞
Wo tera parda sirka key dekha
Wo tera anchal hata key dekha
mujh ko kahin pagal na ker dey
wo tera ruk ruk key ankh’ain ghuma key dekhna ∞
Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai
Mujhey tum sey juda kerney per tul gaya hai
Jo bhyed umer’on sey chupaye huay thay
Mera khayal hai ab khul gaya hai
Meray mathey pey jo daag-e-ruswai tha
Ab wo dhul gaya hai
Lagta hai youn aaj ‘Gul’ jesay
Zulm ka soraj dhal gaya hai ∞
Kia maza in haseen bahar’on ka
Sehan,gulshan aur rang par’on ka
Kesay guzar sakey ga wo in key sath
Jisey dukh ho bichray yaar’on ka
Aaj bari mudat key bad na janey kiun
Khat aya hai meray chahney wal’on ka
Laut aao in rast’on sey ‘Gul’
Ye sandesa hai meray piyar’on ka ∞
Mein zamaney key liye aik tana ban gaya hun
Tera jo dewana ban gaya hun
Mein ik acha bhala insaan hoa kerta tha
Aaj khod ik pagal-khana ban gaya hun ∞
Mein ro’on bhi to meray roney sey kia ho paye ga
Isey to jana hai wo to chala jaye ga
Mein hun khak ka shehzada , wo asman’on ki pari
Hamara male kaha’n ho paye ga
Wo bhool janey ki hidayt to dey rahi hai ‘Gul’ per
Magar ye kambakht dil kaha’n bhol paye ga ∞
Aab key baad koi nahi roye ga
Wo waqt nahi raha to ye bhi nahi rahey ga
Wo youn hi bat bat per roth jata hai
Wo kitni dair aur rotha rahey ga
Agar muhabbat ka sila milta hai yehi
To koi bhi ab muhabbat mein nahi khoye ga
Tu kiun ro raha hai aaj ‘Gul’
Kia ab laut key nahi aaye ga ∞
Zamana isey lakh bura kahey
Lekin wo bura nahi hai
Is dil mein kuch aas baki hai
Abhi ye sara jala nahi hai
Milna hai isay kabhi lekin
Wo abhi mila nahi hai
Jis sey zamana dekhta hai isey
In ankh’on sey to dekhta hi nahi hai ∞
Denay wala dey ajab nishani gaya
Mathay per ker tehrer gham ki kahani gaya
Khushi’yan sari khod samayt ker ley gaya
Meri ankh’on sey ker rawa’n pani gaya
Heer chor ker chali gai ranjha ko
Likh wo meri kitab per ye kahani gaya ∞
Zamana bara bewafa hai is ka aitabar mat kerna
Khod ko bhol jana magar kisi ka intezar mat kerna
Agar wo kabhi bhol ker laut aaye to
Is ki muhabbat ka iqraar mat kerna
Yehi is zamaney ka dastoor hai ‘Gul’ key
Khud ko kisi key liye barbad mat kerna ∞