Aik sapna hasee’n tar dekha
Ye jaha’n dil nashee’n tar dekha
Chand hum ney zameen per paya tha
Khod ko arsh-e-bare’n pey paya tha
Wo haqeqat tha aik sapna sa
Ghair ho key bhi apna apna sa
Is ka lehja tha dhema dhema sa
Ankh’on ankh’on mein baat kehta tha
Is ki ankh’ein bhi khawab jesi thi’ein
Khob sorat sarab jesi thi’ein
Wo wafa ka yakee’n delata raha
Wadey karta raha, bhulata raha
Phir achanak pata chala hum ko
Hum sey kuch wasta nahi us ko
Hum ney bhanwrey ko jana perwana
Ye to tha us ka mashgala, jana
You’n wo ankh’on mein bo gaya gham ko
Aik pachtawa dey gaya hum ko
Comments are closed, but trackbacks and pingbacks are open.