Aansoo Shayari

Ye kis mukam pe le ae hain tujhe halat,
K teri ankh bhi purnam dikhai daiti hai.

Hawa se lapati hoi siskion se lagta hai,
Meri kahani kisi aur ne bhi dhohrai.

Waqt khosh khosh katane ka mashwara daite hoe,
Ro para wo app muj ko hosala daite hoe.

Wo bhi me daikh choka jo nahin hone wala,
So kisi baat pe hairat nahin kar sakta me.

Na poch kion meri ankhon me aa gae ansu,
Jo tere dil me hai us baat par nahin ae.

Mudad k bad azan e tabam mila humen,
Wo bhi kuch aisa talakh k ansu nikal pare,

Lafzon me chopae hoe be rabt dala se,
Chanti rahi shab bhar mere ansu teri awaz.

Guzra hai muhabbat me kuch aisa bhi zamana,
Rotha hon agar me to manaea hai kisi ne.

Ghar ki tameer chahe jaisi ho,
Us me rone ki kuch jaga rakhana.

Qurbaton me bhi judai k zamane mange,
Dil wo be mohar k rone k bahane mange.

Falak tha jin ki nigahon me manzl e yakgam,
Chaman me aaj wo rote hain baal o par k lie.

Fasale aise bhi hon ge ye kabhi socha na tha,
Samane betha tha mere aur wo mera na tha.

Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne,
Kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota.

Ashk ko juram samjate hain zamane wale,
Jo yahan piar kare ga wo saza pae ga.