Greetings Shayari

Shabnam ki boondein phulon ko bhiga rahi hai,
thandi lehrein ik taazgi jagaa rahi hain,
ho jaayein aap bhi inme shaamil..
ek pyaari si subha aapko bula rahi hai…

Eid ka chand mushkil se dikhta hai.
Lailla ko majnu mushkil se milta hai.
Hum to sms bhejte rehte hai par
Aajkal aapka sms mushkill se milta hai..

Tanha jab dil hoga, aapko aawaz diya karenge.
Raat me sitaronse aapka jikr kiya karenge.
Aap aaye ya na aaye hamari khwabonme,
Ham bas aapka intezaar kiya karenge.
Khwab dekhne ke liye ab so jayenge…

Holi ke rang mast bikhrenge,
kyuke piya ke sang ab ham bhi toa bheegenge…
Holi mein iss baar toa aur bhi rang honge,
kyuke mere piya bhi toa mere sang honge…

Le gaye aap is school ko us mukaam par,
garv se uthte hai hamare sar,
hum rahe na rahe ab kal,
yaad aayenge aap ke saath bitaye hue pal,
Teacher.. aapki zarurat rahengi hame har pal…

Taaron mein akela chaad jagmagata hai,
mushquilo mein akela insaan dagmagata hai,
kaate se ghabrana mat mere dost,
kyoki kaaton mein hi akela gulab muskurata hai…

Aajadi ki kabhi shaam nahi hone denge,
Sahidon ki kurbani badnaam nahi hone denge,
Bachi ho jo ek bund bhi garam lahu ki…
Tab tak bharat mata ka aanchal nilaam nahi hane denge.

Lal gulaabi rang hai,
Jhum raha sansar hai,
Suraj ki kiran khushiyon ki bahar,
Chand ki chandni apno ka pyar,
Shubh ho aapko yeh Rango ka tyohaar.

Maa se rishta aisa banaya jaae,
Jisko nigaaho me bithaya jae,
Rahe uska mera rishta kuch aisa ki,
Wo agar udaas ho to humse bhi muskuraya na jaae.

Muskurade zindagi karz nibhana hai,
kitni mushkilein kyun na ho khadam age badana hai.
kaante na chubhenge pairon mein
unhe phool samajh kar dikhlana hai…

Lo Agaya Jis Ka Tha Intezaar…
Sab Mil K Bolo Mere Yaar…
Decebmber Main Laya Christmas Bahar
Mubarak Ho Tumko Christmas Mere Yaar…

Gham na kar Zindagi bahut badi hai,
Chahat ki mehfil tere liye saji hai,
Bas ek baar muskura kar tho dekh,
Taqdeer khud tujhse milne bahar khadi hai…

Chaah Rakhne Wale, Manzilon Ko Taakte Nahin
Badh Kar Thaam Liya Karte hain…
Jinke Hathon Me Ho Waqt Ki Kalam,
Apni Kismat Wo Khud Likha Karte Hain…

Ye baat hawao ko bataye rakhna ,
Roshni hogi chirago ko jalaye rakhna ,
Lahu dekAr jiski hifazat humne ki…
aise TIRANGE ko sada Dil me basaye rakhna…

Aajadi ki kabhi shaam nahi hone denge,
Sahidon ki kurbani badnaam nahi hone denge,
Bachi ho jo ek bund bhi garam lahu ki…
Tab tak bharat mata ka aanchal nilaam nahi hane denge.