Arjoo Shayri

wo kon tha jo mujhy aisy mila k koi gham na raha ,
Jo dour reh kr b mujsy dour na raha,
Jany kab sy hamy uski talash thi.
Jb btana chaha usy tou koi lafz na raha,
Usy dakhny ki chah me nighahen tarsi hy meri
Or jb nigha mili tou waqt hi na raha ,
Lamha lamha uski yado me hi guzar jata hy.
…SAGAR…
Wo tabir tou hy meri lekin ab koi khuwab na raha..! Me

Bikhri ek baar to haath aye hai kab mooj-e-shameem,
Dil sa nikli hai tou kab lab-e-faghaan thahri hai ..

Bari hoti hai mayoosi , Bari hoti hai mayoosi,
Bana kar hum nay naqash aarzoo aksar mita daala.

Bohat se raaz chupey hain teri ankhon mein,
Nazar milaaon aur mujhe ko raaz’dan kar lo..

Ghum e arzo teri rah me, shab e arzo teri chah me,
Jo ujar gya wo basa nahi, jo bichar gya wo mila nahi

Bas itni guzarish hai ek muhabbat main mere maula,
Mujhe nakaam honey sey zara pehley uthaa lena

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa,
Rang laaye hain woh mehndi ka lagana kesa

Hashar mein milne ka vaada to karo,
Hum abhi hashar barpaa kartey hain

Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni,
Kabhi yeh zindagi ke marhley asaan to hon ge.

Kuch to de bheek us ko aye zaalim,
Ban ke jo saayel tere ghar aaya.

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,
Manzil kahan se paas parre gi kahan se door

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hai,
Phir baat se baat niklay gi, aur tum rooth jaoge

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho,
Uff woh kefiyat ke ho bhi aur angrrayi na ho

Mujhe yeh dar hai teri aarzuu na mitt jaye,
Bohat dinon se tabiyat meri udaas nahin

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye,
Tu milay to main tujhe shair sunaaon apne