Bollywood Shayari

Khuda Ne Jab Tujhe Banaya Hoga,
Ek Suroor Sa Uske Dil Mai Aaya Hoga,
Socha Hoga Kya Dunga Tohfe Mai Tujhe,
Tab Jake Usne Mujhe Banaya Hoga

Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi,
Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi,
Jis Din Humne Aapko Bhuladiya,
Samajh Lijiyega, is duniya me hum nahi

Na Jagte Huve Khwab Dekha Karo,
Na Chaho Use Jise Pa Na Sako,
Pyaar Kaha Kisika Pura Hota Hai,
Pyaar Ka Pehla Akshar Adhura Hota Hai

Bas ab ek haan ke intezaar me raat yunhi guzar jaayegi,
ab toh bas uljhan hai saath mere neend kahan aayegi,
Subah ki kiran na jaane konsa sandesh laayegi,
rimjhim is gungunayegi ya pyaas adhuri reh jaayegi

Zareee Zarree Mein Usi Ka Noor Hai
Jhak Khud Mein Woh Na Tujhse Door Hai
Ishq Hai Usse To Sab Se Ishq Kar
Ishq Hai Usse
To Sab Se Ishq Kar
Is Ibadat Ka Yehi Dastoor Hai

Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi
Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi

Yaar Mera H Ar Taraf Bharpur Hai

Pani Se Pyaas Na Bujhi
Toh Maikhane Ki taraf Chal Nikla
Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se
Par Khudha bhi Tera Ashiq Nikla

Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai
hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai…
jab aata hai tera naam mere naam ke saath..
naa jano kyon log hamare naam se jalte hai

Pyar ne ye kaisa tohfa de diya,
Mujhko gumo ne pathar bana diya.
Teri yaadon main hi kat gayi ye umar,
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya

garmiye hasrat ke nakam se jalte hai
hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai…
jab aata hai tera naam mere naam ke saath..
naa jano kyon log hamare naam se jalte hai

Shareefon Ka
Zamane Main Maine
Haal Jo Dekha Ke
Sharafat Shod Di Maine

Waffa Pe Mitne Walon Ka
Maine Anjaam Jo Dekha Ke
Waffa Hi
Shod Di Maine

Aaj utni bhi nahin Mehkhane mein ,
Jitni hum chodh diya karte the Paimaane mein

Kaate Nahin Kat Te Lamhe Intezaar Ke,
Nazaren Bichaein Baithe Hain Raste Pe Yaar Ke,
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husne Yaar Ke,
Laya Hain Unhe Kaun Falak Se Utaar Ke

Na tere aane ki aas hai,
na tujhe pane ki pyaas hai.
phir bhi is shareef” ka dil

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde