Dard Shayari

Kash Dil ki awaz me itna asar ho jay,
Hum apko yaad karen aur apko khabar ho jay,
Aaj kuda se itni hi dua hai, aap jo bhi chaho vo haqiqat ho jay

Chup kar kahi kisi or se dosti nahi ki,
mene kiya tha pyar .. pyar ka karja chuka diya,
logo ne poochha jab udasi ka sabab…
to kore kagaj par toota hua dil bana diya…

Log milte hai aur phir ek dusre ke kareeb aate hai.
Aur kareeb aakar aksar juda ho jate?
Agar juda hona hi hai toh log milte kyu hai?

Ansuo ko bahut samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
iss par ansu tadap kar bole,
itne logo me aapko tanha pate hai,
is liye chale aate hai

Zindagi hamesha kuchh naya dikhayegi
Kabhi hasengi to kabhi rulayegi
Is par bharosa mat karna
Ye zindagi hai na jane kis mod pe akela chhod jayegi

Kya hoon main aur kya samajhte hai,
Sab raaz nahi hote batane wale,
Kabhi tanhaiyo mein aakar dekhna,
Kaise rote hai sabko hasane wale.

Kabhi dil ko kabhi samako jalake roye,
Raat ke godh mein soo gaye jab sari duniya,
Toh chand ko teri tasvir banake roye

Zindagi lehar thi aap shail hue,
Na zane kaise hum se bhool hue,
Aur hum aapki dosti ke kabil na hue,
Na bhulenge hum uss haseen pal ko,
Jab aap hamari choti se duniya mein shamil hue

Woh sagar nahi aansoo the mere,
Jispar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhe yeh aarzo thi meri,
Issliye hum aansoo bahate rahe

Ho sake toh pyaar ka itebar kar ke dekhna
Phir lafzon se iqraar kar ke dekhna
Junon ki had se aage nikal jain ge
Faqat ek bar hum se izhaar kar ke dekhna

Hota hai dil kyu betaab aur beqarar
Ek lamhey ka intezar kar ke dekhna
Hijar mein katain hain shabo-roz ki tarhan
Ghari ki tak tak shomar kar ke dekhna

Tere intezar mein umar bhi ghawa di
Ek bar mera intezar kar ke dekhna
Tere hussan ki kashish teri sadgi hai jani
Yeh sab kuch uss par nisar kar ke dekhna

Sona chahta hun per neend nahi aati hai,
Badal badal ke karwate yunhi raat guzar jati hai,
Kar bhi pyaar ka izhar ya jaane jigar,
Akhir kyon tu mujhe itna tadpati hai

Hansi ke peeche hazaaron aansoo chhupate chale
Dil main ghum ka dariya sambhaalte huey
Na koi raasta, Na koi manzil
Hogaya kitna paraya apna hi dil

Dil ke chhalon ko koi shayari kahe,
To dil ko dard nahi hota.
Takleef to tab hoti hai,
Jab log wah-wah karte hain