smskhazana

Kuch to de bheek us ko aye zaalim,
Ban ke jo saayel tere ghar aaya.

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,
Manzil kahan se paas parre gi kahan se door

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hai,
Phir baat se baat niklay gi, aur tum rooth jaoge

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho,
Uff woh kefiyat ke ho bhi aur angrrayi na ho

Mujhe yeh dar hai teri aarzuu na mitt jaye,
Bohat dinon se tabiyat meri udaas nahin

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye,
Tu milay to main tujhe shair sunaaon apne

Sab Khasaaro’n ko Jama Kar Kay Ye Haasil Niklaa,
Dil-e-Nadaa’n Ki Koi Baat na Maani Jaaye

Wo Ek Mouka To Mujhko Dei Baat Karne Ka Yaaron,
To Unhe Bhi Rula Dunga, Unhi Ke Sitam Suna Suna Kar

Uski Nighah_e_Naaz Mein Hum Bhi Hain Mautbar!
Aey DIL” Ye Sab Kaheen Teri Khush Fahmiyaan Na Hon”

Hazaroon Daastanein Hain, Heer, Laila, Sheerin Ki,
Tum Apne Sath Mujh Ko Bhi Ek Esi Daastan Kr Do

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha,
Teri justaju main humne Sitaron ko dekha,
Nahi mila tum se badhkar in nigahon ko koi,
Humne jiske liye hazaron ko dekha

Main tu bik Jaon teray naam Pe mout ki tarha wasi,
Tou kabi kharidar tu ban ke aa zindagi ke Bazar main

Raat meri aankh main aik sailaab tha,
Tera chehra dakhina sa bhi tabiyat bhar gai

Toota ho ek bar magar faisla ye hy
os intiha pay bar digar jana hy muje

Theharny bhi nai deta hy apny dil mai muje
mohabten bhi meri dil badar nai karta