Aansoo Shayari

Doobte chand pe royi hain hazaron aankhain,
Main to roya bhi nahi, tum ko hansi kyun aayi?

Sabab har aik mujh se poochta hai mere ronay ka,
Elaahi saari dunya ko mein kese raazdaa’n kar loon..

Yeh shararat bhara lehjaa to meri aadat hai,
Tu har ik baat pe yu’n nam na kiya kar aankhain..

Yeh kis maqaam pe le aaye hain tujhe halaat,
Ke teri aankh bhi pur’nam dikhayi deti hai..

Jin ke honton pe tarb-khezz hansi hoti hai,
Woh bhi rote hain kitabon mein chupa kar chehre..

Tumhe to zabt-e-mohabbat ka itna daava tha,
Yeh ashkk kese teri aankh se dhalak aaya..

Kab Tak Raho Ge Aakhir Yoon Door Door Hum Say?
Milna Paray Ga Aakhir Ek Din Zaroor Hum Say..!
Daman Bichaane Walay Ye Be-Rukhi Hai Kesi?
Keh Do Ager Hua Hai Koi Qasoor Hum Say..!
Hum Cheen Lenge Tumse Ye Shan-e-Benayazi,
Tum Mangte Phiro Gay Apna Garoor Hum Say…!!

Zara se jabr se main bhi to toot sakti thi,
Meri tarah se tabi’at ka woh bhi sakht na tha.

Aik Ashk Ki Qeemat Ho Agar Aik Hi Paisa,
To Suno, Tum Lakhon Ke Maqrooz Ho Mery..!!

Ajnabi logon mein ho tum aur itni door ho,
Aik uljhan si raha karti hai rozaana humain..

Jis khof say milny nahi ata tha wo mujh say,
Iss dar say meri mout pay roya bhi nahi tha..

Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon,
Kaash Main Bhi Kabhi So Ker Dekhoon.
Shayed Ubhre Teri Tasveer Kaheen,
Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoon..

Umer Kaati Teri Furqat Mein Bahaatay Aansuu,
Yun Ujray Howay Rehna Meri Aadat Nikli…

Jo zara kisi ne chera chalak jaynge aansu,
Mujhse koi na pucho mera dil udas kyun hai.

Tumhara naam likhane ki ijazat chin gai jab se
Koi bhi lafaz likhata hon to ankhen bheeg jati hain