Aansoo Shayari

Na jane kyun gale se lipat ke rone lage wo,
jab ham barso baad mile,
Jaate hue jinhone kaha tha mujhse,
Ke tum jaise laakhon milenge..

Taqdeer Tou Dekho Merey Ansuou’n Ki,
Inka Bhi Apki Yad Mey Beh Jana Likha Tha…

Hasne Ki Justju Mein Dabaya Jo Dard Ko,
Aansoo Hamari Aankh Mein Pathar Ke Ho Gaye!!

Aansuu bhi meri aankh ke ab khusshk ho gaye,
Tu ne mere khuloos ki keemat bhi cheen li..

Likhna to tha ke khush hoon tere bager bhi,
Aansuu magar kalam se pehle hi girr gaye…

Meri aankhon main Ansu aaye na hote,
Wo humein dekh kar muskuraye na hote,
Sochti hun aksar tanhai may main,
Meri zindagi main kash wo aaye na hote,
Na tarapte hum unke liye itna,
Dil ne khawab unke sajaye na hote,
Naa toot kar bikharti main is kadar,
Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote…

Raat meri aankh main aik sailaab tha,
Tera chehra dakhina sa bhi tabiyat bhar gai.

Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko Parhne Ka,
To Behte Hue Ansoon Aksar Baat Kerte Hain..

Aankhon Mein Namii Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hai
Nazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Saa Fasanaa Hai…

Raat Bhar Rooti Rahi Shama Bhi,
Meri Be’naam Arzoo Ki Tarah

Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Me Aksar

Tum ko bhi rona ata ho ga apni kamoshi par
jab insan lagaty hay,tehainyon par ghaat darakhton !

Tamam shab yon hi dekhen gi saoye dar ankhen
tuje ganwan kar na soyen gi umar bhar ankhen

Phoot niklay to kai shehar tamnna dobay
ek katrey ko tarsi banjar ankhen

Palko ke sitarey bhi urda ly gay anwar
wo dard ke andhi ke sar-sham chali thi