Aansoo Shayari

Adal o insaf faqat hashr pr mokoof nahi,
Zindagi khud bhi gunahon ki saza deti he…

Meri Ankhon se kabhi utro dil mein,
Ke main dharkan mein Basa lon tumko,
Jaan se b barh kr chahun tumhen,
Apni zindgi hi Bana lon tumko,
Mere khuwabon mein Sirf tum hi baso,
Apni Neendon mein saja lon tumko ,
Logon ki bheer mein
kho na jana kahin,
Zamane se hi main
chura lon tum ko…

yea muhabat ke kahane nahe marte laykin,
log kardar nabatay huay mar jatay hain

tou meri chahat ka ek lafz bi na parh saka ,
main tery diey huey dard ki kitab parhty parhty aksar so jata hon

Yeh urri urri si rangat, yeh khillay khillay se aansu,
Teri subahh keh rahi hai, teri raat ka fasaana..

Kitnaa Royaa Tha Main Teri Khaatir,
Ab Jo Sochu’n To, Hansi Aati Hai..!!

Chaha hai tujh ko tery taghaful k bawajood. . !
Ae zindagi tu yaad karay gi kabhi humain.

Sun key mujh sey fasan-e-gham-e-dil!
Aap bhi gham zada na ho jana..

Na kisi ki aankh ka noor hoon, na kisi ke dil ka qaraar hoon,
Kisi bhi kaam mein jo na aa sake mein woh musht-e-ghubaar hoon..

Guftugu kejiye k ye fitrat-e-insan hai ‘Shakeb’
Jaalay lag jatay hain jab band makaan hota hai

Meri rooh ki haqeeqat mery aansuo’n se pooch!
Mera majlisi tabassum mera tarjumaa’n nahi’n hai

Muddat k baad azn-e-tabassum mila magar. .
Wo bhi kuch aisa talkh k aansu nikal parray

Mein takiye per sitaray bo raha hoon. .
Janam din hai, Akela ro raha hoon. .
Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. .
K mein ander se kaisa ho raha hoon. .
Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. .
Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. .
Sabhi parchaai’an hain saath lekin. .
Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. .
Mujhy in nisbato’n se kon samjha?
Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. .
Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. .
K jaisay jagtay mein so raha hoon. .
Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’
Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !

Ye dil zakhm hai ik roz bhar hi jaye ga
Shagaaf pur nahi hotay faqat chataan’on k .

Zabt se ehed bhaandh rakha tha,
Aur phir bhi bikhar gaye aansuu..