Hum teri aarzoo main jeetey hain
Ye nahi hai tu zindagi nahi ∞
Ye kia aik toor se guzare tamam umer,
Ji chahta hai abb koi tere siwa bhi ho. ∞
Na ji bhar k daikha na kuch baat ki,
Bari arzu thi mulaqat ki. ∞
Mene chaha tha sameton aik bikhare shakhs ko,
Kitne tokron me na jane zaat meri baat gai. ∞
Muje ye dar hai teri arzu na mit jae,
Bahot dinon se tabyat meri udas nahin. ∞
Garme nahin to zehar hi lao k is tarah,
Shaid koi nijaat ka rasta dikhai de. ∞
Kuch to mere pandar e muhabbat ka bharam rakh,
To bhi to kabhi muj ko manane k lie aa. ∞
Kash aisa ho k abb k be wafai me karon,
To phire karya ba karya ko be ko mere lie. ∞
Qafas se le k chaman tak hai aik hi alam,
Wo habas hai k hawa me bhi ghut k mar jaon. ∞
Qadam qadam par humen sanp mil rahe hain tarab,
Kahan kahan hai had e asteen khuda jane. ∞
Fiza me rakas hai sohbha e husain parindon ka,
Muje bhi hasrat e parwaz hai kisi k sath. ∞
Faryad kar rahi hai ye tarsi ho nighah,
Dikhe hoe kisi ko bahot din guzar gae. ∞
fitarat e arzo k peron me zanjerain na dal,
Piar kar khoshbo se pholon ki tamana na kar. ∞
Ghancha hai to chatake wo sitara hai to chamake,
Be taab hai sene me dharkane k lie dil. ∞
Umer e daraz mang k lae the char din,
Do arzo me kat gae do intazar me. ∞