Arjoo Shayri

Dastaras me hai tera phol sa chehra lakin,
Us ko chone se bikhar jane ka dar lagta hai.

Khawab ankhon me parone ki ijazat hai tuje,
Shab e hijran me bhi sone ki ijazat hai tuje.

Khod apne hijar ki khawaish mje aziz rahi,
Ye tere wasal ka qisa to ik bahana hai.

Khared k humen arzan bana dia tum ne,
Jo hum bike nahin hote to be baha hote.

Khawahish hai k daikhon tere chehre ko musalsal,
Itna muje bhaea hai tera chand sa chehra.

Hairat hai uss ne apni pursatish hi kion na ki,
Jab admi ko pehle pehal aina mila.

Hadson ki na ankh khol jae,
Hasrat sogawar chop hoo jaa.

Chahon to mere pass hai har baat ka jawab,
Chahon ga aik rooz abhi chahta nahin.

Charagh hon meri wazo me kami nahin ho gi,
Muje to jalna hai shab bhar jalon kisi ghar me.

Chahat k badle me hum to baich dain apni marzi tak,
Koi mile to dil ka gahak koi humen apnae to.

Jo mukhalif ajj hai mumkin hai kal hamdard ho,
Apne dushmin se bhi umed e wafa rakhta hon me.

Jinhain khazan me chaman bandion ka dawa tha,
Bhari bahar me ik phol tak khila na sake.

Samar naseeb me ho ga to mil hi jae ga,
Jo shakh phot rahi hai usi ko phalne do.

Thukra dia hai jis k lie ik jahan ko,
Ya raab wo mera dil na dukhae tamam umer.

Totna yon to maqadar hai magar kuch lamhe,
Phool ki tarah muyasar ho shajar me rehna.