Dard Shayari

Behte aashkon ki zubaan nahi hoti
Lafzon mein mohabat bayaan nahi hoti.
Mile jo pyar to kadar karna
Kismat har kisi par maherban nahi hoti

Apni bebasi par aaj rona sa aaya
Doosron ko nahi maine apno ko azmaaya
Har dost ki tanhaayi door ki
Lekin khud ko har morh par tanha hi paya

Gehri thi raat, lakin hum khoye nahi,
Dard bahoot tha dil mein, lakin hum roye nahi,
Koi nahi hamara jo puche humse,
Jag rahe ho kisi ke liye, ya kisi ke liye soye hi nahi..!!

Teri ankhon ke nashe mai doob jau..
Teri julfooo ki chao mai khud ko bhul jau..
Teri hoothon ki hasi ko pee loo sanaam…
Aa kareeb mere teri bhaahon mai khud ko bhul jau…

Ankhe ro padhi unka na paigam aaya,
Chale gaye humein akela chhod ke ye kesa mukam aaya,
Meri tanhai Hansi mujhpe
Aur boli Bata
Aakhir mere siva tere kon kaam aaya

Door jakar bhi hum door jaa na sakenge,
Kitna royenge hum bata na sakenge,
Gham iska nahi ki aap mil na sakoge,
Dard is baat ka hoga ki hum aapko bhula na sakenge

Bachpan Key Din Bhi Kitny Achhe Hotey They
Tab Dil Nahi Bas Khiloney Tuta Krte They
Ab Ek Aansoo Girey Toh Saha Nhi Jaata,
Bachpan Mein Toh Dil Bhur Key Royaa Krte They

Wafa Ka Dariyaa Kabhie Rukta Nahin
Ishq Mein Premi Kabhi Jhukta Nahin
Khamosh Hain Hum Kisi Ke Khushi Ke Liye
Na Socho Ke Hamara Dil Dukhta Nahin!

Aesa Jagaya Aapne Ke Ab Tak Na So Sake
Yun Rulaya Aapne Ke Mehfil Mein Hum Ro Na Sake
Na Jaane Kya Baat Hai Aap Mein Sanam
Mana Hai Jabse Tumhe Apna Kisi Ke Hum Ho Na Sake

Duniya Hai Patthar Ki Jazbaat Nahi Samajhti
Dil Mein Jo Chhupi Hai Who Baat Nahi Samajhti
Chand Tanha Hai Taaro Ki Baraat Mein
Dard Magar Chand Ke Zalim Raat Nahi Samajhti

Mar Kar Tamanna Jeene Ji Kishe Nhi Hoti
Ro Ke Khush Hone Ki Tamanna Kishe Nhi Hoti
Keh Toh Diya K Jee Le Ge Apno Ke Bagair
Par Apno Ki Tamanna Kise Nahi Hoti!

Sab Phoolon Ki Juda Kahani Hai
Khamoshi Bhi Toh Pyar Ki Nishaani Hai
Na Koi Zakham Hai, Fir Bhi Aesa Ehsaas Hai
Yun Mahsoos Hota Hai Koi..
Aaj Bhi Dil Ke Paas Hai

Patthar ki duniya jazbaat nahi samjhati,
dil mein kya hai wo baat nahi samajhati,
tanha to chaand bhi sitaaron ke bhich mein hai,
par chaand ka dard wo raat nahi samjhati

Nahi tha zor uski sitam nawaziyon ka,
Magar mujhe bhi hosle mere khuda se mile,
Meri amma kyun kehti hai baar baar mujhse,
Wo mohabbat hi kya jo iltija se mile

Maine unse pyar kiya,
yeh mere pyar ki had thi.
Maine unpe itabar kiya,
yeh mere itabar ki had thi.
Markar bhi khuli rahi meri aakhen,
yeh mere intizaar ki had thi