Dard Shayari

Yun to sadmo me bhi hans leta tha mein,
Aaj kyu bewajah rone lage hain hum,
Barson se hatheliyan khali hi rahi meri,
Phir aaj kyu laga sab khone laga hun mein

Mein saans rokna chahta tha,
Is nirdayi duniya se door jaana chahta tha,
Kyunki wo har saans me mujhe yaad aati thi,
Par mein aisa kar nahi paaya,
Kyunki ye zindagi bhi to usi ki thi,
Mein use aise hi samapt kaise kar sakta tha

Hum Agar Aapse Mil Nahi Paate
Aisa Nahi Hai Ki Aap Hamein Yaad Nahi Aate
Maana Jahan Ke Sab Rishte Nibhaye Nahi Jaate
Lekin Jo Dil Me Bas Jaate Hain Unhe Bhulaya Nahi Jaata

Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni taklif kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane

Yaad karte hai tumhe tanhai me,
Dil duba hai gamo ki gehrai me,
Hume mat dhundna duniya ki bhid me,
Hum milenge tumhe tumhari hi parchai me

Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki,
Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki,
Apna dard kise dikhau aye dost,
Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki

Dil ki khwahish ko naam kya dun,
pyar ka use paigam kya dun.
Is dil me dard nahi yaaden hai uski,
ab yaaden hi mujhe dard de to use ilzam kya dun

Kaas Yeh Sapna Bhi Pura Ho Jaye
Hum Bhi Kisike Sapno Me Aa Jaye
Ho Hamara Bhi Jikra Unke Labo Par
Hum Bhi Unke Dil Me Bas Jaye

Tanha Rehna To Sikh Liya Humne,
Per Khush Na Kabhi Reh Payenge
Teri Duri To Pir Bhi Seh Leta Hai Ye Dil
Per Teri Mohabbat Ke Bin Na Jee Payenge

Nikalta chand sabko pasand aata hai
Doobta suraj kaun dekhna chahta hai
Tootta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai

Kitaabon mein kehte hai phool todna mana hai
Baagon mein kehte hai phool todna mana hai
Phoolon se keemti cheez hai dil
Koi nahi kehta dil todna mana hai

Apni bebasi par aaj rona sa aaya
Doosron ko nahi maine apno ko azmaaya
Har dost ki tanhaayi door ki
Lekin khud ko har morh par tanha hi paya

Today I felt of crying on my helplessness
I tested my own not the strangers
I dealt with the loneliness of every friend
But at every turn of life I always found myself lonely!

Kaas Yeh Sapna Bhi Pura Ho Jaye
Hum Bhi Kisike Sapno Me Aa Jaye
Ho Hamara Bhi Jikra Unke Labo Par
Hum Bhi Unke Dil Me Bas Jaye

Yuhi aankhon se ansu bahte nahi,
Kisi aur ko hum apna kahte nahi,
Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein,
Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi