Chaha hai tujh ko tery taghaful k bawajood. . !
Ae zindagi tu yaad karay gi kabhi humain.

Sun key mujh sey fasan-e-gham-e-dil!
Aap bhi gham zada na ho jana..

Na kisi ki aankh ka noor hoon, na kisi ke dil ka qaraar hoon,
Kisi bhi kaam mein jo na aa sake mein woh musht-e-ghubaar hoon..

Guftugu kejiye k ye fitrat-e-insan hai ‘Shakeb’
Jaalay lag jatay hain jab band makaan hota hai

Meri rooh ki haqeeqat mery aansuo’n se pooch!
Mera majlisi tabassum mera tarjumaa’n nahi’n hai

Muddat k baad azn-e-tabassum mila magar. .
Wo bhi kuch aisa talkh k aansu nikal parray

Mein takiye per sitaray bo raha hoon. .
Janam din hai, Akela ro raha hoon. .
Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. .
K mein ander se kaisa ho raha hoon. .
Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. .
Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. .
Sabhi parchaai’an hain saath lekin. .
Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. .
Mujhy in nisbato’n se kon samjha?
Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. .
Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. .
K jaisay jagtay mein so raha hoon. .
Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’
Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !

Ye dil zakhm hai ik roz bhar hi jaye ga
Shagaaf pur nahi hotay faqat chataan’on k .

Zabt se ehed bhaandh rakha tha,
Aur phir bhi bikhar gaye aansuu..

Bay tawaja tou nahi hum chaman ki tabahiaan,
Kuch baaghbaan hain Barq o sharar say milay huye..

Bohat aziz hain aankhain meri usay lekin,
Wo jaatay jaatay kar gaya unhain purnam phir..

Hosla dil main naa tha ashkoon se tar ankhein theen,
Warna hum tujh ko duaon main hi rukhsat kartay..

Yeh kis maqaam pe ly aaye hain tujhe khalaat,
key teri aankh bhi pur-nam dikhai deti hai..

Na janey ho gaya hun is qadar hassas me kab sey,
Kisi sey bat karta hun to ankhien bheeg jati hain..

Jo anso’on me beh kar laho me zinda hai,
Ye kesa dukh hai meri chashm e tar sey pocha jaye..