Mujhe rishtey ki ddori se na jorro,
Mujhe tootay huye arsaa hua hai.. ∞
Meri ankhon se kabhi ik ashk tak na tapka tha,
Tum bhi de jao ge dhoka yeh bhi na socha tha.. ∞
Na aankh hai nam na chehre pay kurb ke aasaar,
Main is saleeqey se roya hoon aaj pehli baar.. ∞
Bethe bethe hi ageya na janey kya kheyaal,
Pehron lipat kar roye dil-e-nadaan se hum.. ∞
Tumhari aankh se behtey yeh ansoo,
Mujhe andar se sehraa kar rahe hain.. ∞
Gham main aansu na behna barri baat hai,
Dil ka kaabu main rehna barri baat hai.. ∞
Talkh itni thi ke peenay se zubaan jalti thi,
Zindagi aankh ke paani mein mila li mene.. ∞
Mere haal pe yeh hairat kesi, dard ka tanha mausam main,
Pathar bhi ro parttey hain, insaan to phir insaan huaa.. ∞
Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley,
Yeh agar zabt ka aansuu hai to tapkaa kaisey ?? ∞
Paaney se khoney ka mazaa aur hai,
Band aankhon se roney ka mazaa aur hai.. ∞
Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko,
Chaand ko dekhne wo shakhs jo chhat par nikla.. ∞
Kaha tha na usey mat zabt karna,
Woh aansuu ab samandar ho geya naa.. ∞
Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe,
Geeli aankhon, ukhrrey lafzon se duaa dete huye.. ∞
Awaaz main thehraao tha aankhon main nami thi,
Aur keh rahe they maine sab kuch bhulaa diya.. ∞
Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid,
Mujhe hansna nahin ata jahan par tum nahin hote.. ∞