Mujhe rishtey ki ddori se na jorro,
Mujhe tootay huye arsaa hua hai..

Meri ankhon se kabhi ik ashk tak na tapka tha,
Tum bhi de jao ge dhoka yeh bhi na socha tha..

Na aankh hai nam na chehre pay kurb ke aasaar,
Main is saleeqey se roya hoon aaj pehli baar..

Bethe bethe hi ageya na janey kya kheyaal,
Pehron lipat kar roye dil-e-nadaan se hum..

Tumhari aankh se behtey yeh ansoo,
Mujhe andar se sehraa kar rahe hain..

Gham main aansu na behna barri baat hai,
Dil ka kaabu main rehna barri baat hai..

Talkh itni thi ke peenay se zubaan jalti thi,
Zindagi aankh ke paani mein mila li mene..

Mere haal pe yeh hairat kesi, dard ka tanha mausam main,
Pathar bhi ro parttey hain, insaan to phir insaan huaa..

Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley,
Yeh agar zabt ka aansuu hai to tapkaa kaisey ??

Paaney se khoney ka mazaa aur hai,
Band aankhon se roney ka mazaa aur hai..

Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko,
Chaand ko dekhne wo shakhs jo chhat par nikla..

Kaha tha na usey mat zabt karna,
Woh aansuu ab samandar ho geya naa..

Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe,
Geeli aankhon, ukhrrey lafzon se duaa dete huye..

Awaaz main thehraao tha aankhon main nami thi,
Aur keh rahe they maine sab kuch bhulaa diya..

Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid,
Mujhe hansna nahin ata jahan par tum nahin hote..