Ajab tali hai jo ik hath se bajati hai barson se,
K me jaon to jaon wo kabhi aa kar nahin milta. ∞
Zolmat e dohar me har simat ojala kar don,
Kash mil jaen muje kochae janan k diye. ∞
Zulmat ki wadi me ab jo mara mara phirta hon,
Kash na ongali pakri hoti mene apne sae ki. ∞
Taraz e kharam aisi koi sekh le sabah,
Shakhon se phol phol se khoshbo juda na ho. ∞
Zarorat parh na jae ehtabar e zaat ki khatar,
Bacha kar pass apne bhi koi mohjaza rakhain. ∞
Saba ne phir dar e zandan pe aa k dastak di,
Seher qareeb hai dil se kaho na ghabrae. ∞
Shareek e juram na hote to makhbari karte,
Humen khabar hai lateron k har thakane ki. ∞
Resham zolfon nelam ankhon wale ache lagte hain,
Me shaer hon muj ko ojale chehre ache lagte hain. ∞
Rehte hain kuch malol se chehre paros me,
Itna na taiz kijiye dholak ki thap ko. ∞
Zehan chalni jo kia hai to ye majbori hai,
Jitne kante hain wo talaon me paraon kaise. ∞
Zare hain magar kam nahin pao ge kisi se,
Phir janch k daikho humen phir tool k daikho. ∞
Dobane tak me na umeed nahin,
Kab najane hawa palat jae. ∞
Dobana chahon ga to khoshki me ho jaon ga ghark,
Main na pochon ga kabhi darya me pani kion nahin. ∞
Dil hai to dharkane ka bahana koi dhondhe,
Pathar ki tarah be his o be jan sa kion hai. ∞
Dil jahan le jae dil k hath jana chaheye,
Iss se bhar kar aur koi rehnuma hota nahin. ∞