Ghar ki tameer chahe jaisi ho,
Us me rone ki kuch jaga rakhana. ∞
Qurbaton me bhi judai k zamane mange,
Dil wo be mohar k rone k bahane mange. ∞
Falak tha jin ki nigahon me manzl e yakgam,
Chaman me aaj wo rote hain baal o par k lie. ∞
Fasale aise bhi hon ge ye kabhi socha na tha,
Samane betha tha mere aur wo mera na tha. ∞
Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne,
Kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota. ∞
Ashk ko juram samjate hain zamane wale,
Jo yahan piar kare ga wo saza pae ga. ∞
Ajab kal sham ka manzar raha hai,
Falak mere laho se tar raha hai. ∞
Zaraf zameen ka kam parne lagta hai jab,
Tab pathar se chashma phoot nikalta hai. ∞
Tilasam khana umeed se rihai par,
Main roo para tha magar log muskarate the ∞
Taaq e masargan pe lazarte rahe ashkon k charagh,
Kis taqalaf se hanse ajj ye hansane wale. ∞
Zarorat hai hamen ae dil laho k chand qatron ki,
Kisi k naam maqtoob e wafa tehreer karna hai. ∞
Kehkashan, chand, sitara na dia rakha hai,
Ek anso hai jo palkon pey saja rakha hai.. ∞
Khabar kya thi kay wo ik roz mujhko bhool jaye gi,
Or us ki yad mujh ko khoon kay anso rulaye gi. ∞
Ankhien to surkh hain ashk e rawan kahan,
Unwan e dastan hai magar dastan kahan.. ∞
Anchal phir ashkon sey bhigoney wali hun,
Ji bhar kay teri yad me roney wali hun.. ∞