Ghar ki taameer chahey jesi ho,
Uss main roney ki kuch jaghaa rakhna..

Kitni be’sabar zaroorat thi ke us ke ghar ke log,
Bech aye hain shajjar kaat ke phall se pehle..

Sach kahoon apni mohabbat pe nidaamat si hui,
Jab bhi dekhi teri utri hui surat meine..

Saif yeh din to qayamat ki tarah guzra hai,
Jane kya baat thi, har baat pe rona aaya..

Kam Khatey Hain, Kam Sotey Hain,
Bohat Zeyada Hum Rotey Hain

Zikr chairr dete hain jab gaye zamanon ka,
Woh bhi roney lagte hain, hum bhi roney lagte hain..

Doobte chand pe royi hain hazaron aankhain,
Main to roya bhi nahi, tum ko hansi kyun aayi?

Sabab har aik mujh se poochta hai mere ronay ka,
Elaahi saari dunya ko mein kese raazdaa’n kar loon..

Yeh shararat bhara lehjaa to meri aadat hai,
Tu har ik baat pe yu’n nam na kiya kar aankhain..

Yeh kis maqaam pe le aaye hain tujhe halaat,
Ke teri aankh bhi pur’nam dikhayi deti hai..

Jin ke honton pe tarb-khezz hansi hoti hai,
Woh bhi rote hain kitabon mein chupa kar chehre..

Tumhe to zabt-e-mohabbat ka itna daava tha,
Yeh ashkk kese teri aankh se dhalak aaya..

Kab Tak Raho Ge Aakhir Yoon Door Door Hum Say?
Milna Paray Ga Aakhir Ek Din Zaroor Hum Say..!
Daman Bichaane Walay Ye Be-Rukhi Hai Kesi?
Keh Do Ager Hua Hai Koi Qasoor Hum Say..!
Hum Cheen Lenge Tumse Ye Shan-e-Benayazi,
Tum Mangte Phiro Gay Apna Garoor Hum Say…!!

Zara se jabr se main bhi to toot sakti thi,
Meri tarah se tabi’at ka woh bhi sakht na tha.

Aik Ashk Ki Qeemat Ho Agar Aik Hi Paisa,
To Suno, Tum Lakhon Ke Maqrooz Ho Mery..!!